Monday, August 26, 2013

WO EK KAMZOR DIL KI LADKI....

Tumhare ghar ka pata nhi hai, to poochhne mein jhijhak rahi hai
wo ek kamzor dill ki ladki, sadak pe tanha bhatak rahi hai. 
tumhare ghar ka.......

hai ajnabi shehar sab parayai, khabar nahi kuch kidher ko jaaye,
qadam thakan se laraz rahe hai, aur aag dill mein bharak rahi hai
TUMHARE GHAR KA.......

na koi khat uske naam bheja, na koi zubaani payaam bheja,
tum apni khushiyo mein kho rahe ho, yaha mohabbat sisak rahi hai,
TUMHARE GHAR KA.......

wo ek sehmi huwi haseena, tamaam chehre pe hai paseena,
jo uske dill ki hai bekaraari. wo uske rukh se jhalak rahi hai..
TUMHARE GHAR KA.......

Maathay ki shikan to dekho, dill o jigar ki lagan to dekho,
uljhi uljhi si uski Zulfe chehre pe uske latak rahi hai,
TUMHARE GHAR KA.......

palko ko ashko mein bhigoye huwe labo se wo muskura rahi hai,
uske dill jo hai tamanna, uski aankho mein chamak rahi hai,
TUMHARE GHAR KA PATA NHI HAI, TO POOCHHNE MEIN JHIJHAK RAHI HAI

No comments: